बातचीत ही दूरियाँ मिटाने का आसान रस्ता है- शिवानी देशवाल

 Namaskar dosto

Meine aksar gaur kiya hai ki hmari roj Kitni hi baate ankahi reh jati hai. Hum kisi ko btana chahte hai ki hum uske bare mei kya sochte hai ya hum usse kitna pyar karte hai ya hum usse kyu naraz hai par keh nhi pate. Reason? Reason ye hai ki hum jo kehna chahte hai wo samne wala sunne ko bhi to tayyar ho. Rishton ko bnana to asan hota hai par unko maintain karna bohot mushkil hai.

बातचीत ही दूरियाँ मिटाने का आसान रस्ता है- शिवानी देशवाल


Samne wale ko apni feelings btana kai baar rishton par bhari pad jata hai aur tajjub to tab hota hai jab apke apne mata pita ya bhai behen hi kai baar apko samajh nhi pate jo ki humse mann se bhi jude hote hai aur blood se bhi. Aur hmesha se hi hmare sath rahe hai. Jab apno ke sath hi aisi situations aa jati hain to bahar ke rishton ko to waise hi badnam kiya hua hai duniya ne. Warna asliyat to apko aaina apne hi dikha dete hain.

         Mera manna hai ki jis tarah ghar bnane mei efforts lgte hai waise hi rishton ko bnane mei bhi lgne chahiye aur wo bhi dono taraf se hi. Meri ek friend ne btaya ki uske mummy papa usse baat hi nhi karte. Reason pucha to usne btaya ki nhi pta yaha tak ki festivals ya kisi khaas occasions par bhi nhi. 

        Hai na kamaal ki baat wo mata pita jinhone janm diya apni aulad se baat kiye bina survive bhi sakte hain mujhe to yeh sochkar bhi strange feel hota hai. Koi reason bhi to hona chahiye ya kuch hai bhi to maa baap bachho se naraz ho kaise sakte hai unhe to bhagwan ne wo patthar dil hi nhi diya jisme aise thoughts bhi aye.

Kuch nahi balki duniya ke sare masle table par hi resolve hote aye hai aur hote rahenge. Baat karke to dekhiye ya puchiye ki hua kya hai? Baat na karna to mere khyal mei koi solution hi nhi hai.

Par nhi mujhe lgta hai ab kalyug hai aur yaha sab possible hai. Ap dekho na ghar ghar mei ladai jhagde hona aam baat ho gyi hai, kabhi property, kabhi dahej, kabhi bhai bhai aur kabhi kabhi kuch nhi bas aise hi ladna hai kyuki adat ho gyi hai. 

Mujhe lgta hai hume is negativity is perceprion ko apni zindagi se hmesha ke liye dur kar dena chahiye tabhi hum sab khush bhi rahenge aur santusht bhi apno se bhi aur apne ap se bhi. Ladai jhagda karna achhi baat nhi hoti par fir bhi usme ek mudda to pata chal hi jata hai ki samne wale ki narazagi kis baat par hai. Par jab koi apse baat hi karni band kar de to ye bhi pta nhi chal pata ki samne wale ko akhir chahiye kya hai? Khair kar hi kya sakte hai koshish karne ke siwa. Bas darr to is baat ka hai ki ye koshishe bhi band ho gayi tab kya hoga.

              Kitni koshishe karte hai hum aage badhne ki par haqiqat to ye hai ki hum bohot bohot bohor jyada peeche ja rhe hai kyuki hmare apne hi hain jo hme aage badhne ki prerna dete hai, sath dete hain par akele koi kitna dur chal payega. Kabhi na kabhi to rasta bhatak hi jayega. Par rishton ko kamjori nhi banne dena chahiye ye to hmari taqat hai aur inhe taqat hi bne rehne dena chahiye isi mei hi hum sabki khushiyan bhi shamil hai aue hmare aage badhne ka rasta bhi khulta hai aur kahin na kahin shanti ka path bhi yahi hai.

बातचीत ही दूरियाँ मिटाने का आसान रस्ता है- शिवानी देशवाल


Shivani Deshwal

Shivi chaudhary vlogger on youtube

Shivani.deshwal.353 on instagram

Shivani Deshwal on facebook


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

कुछ जरूरी बातें- educational

Meri beti ne jo mujhe sikhaya- shivani deshwal

Shadi Ek Pavitra Bandhan Hai(Bhag -1)- shadi ke mayne